Sunday, September 12, 2010

Tere utaare huye din - By Gulzar Saab

Tere utaare hue din
tange hain lawn mein ab tak
na wo purane hue hain
na un ka rang utra…
Kahin se koi bhi seewan abhi nahi udhri

Ilaaichi ke bahut paas rakhe pathar per
zara si jaldi sarak aaya karti hai chhaon
zara sa aur ghana ho gaya hai wo pauda
main thora thora woh gamla hatata rehta hoon
fakira ab bhi wahin meri coffee deta hai

Gilehrion ko bula ker khilata hoon biscuit
Gilehrian mujhe shaq ki nazar se dekhti hain
wo tere haathon ka mus jaanti hongi….

kabhi kabhi jab utarti hai cheel shaam ki chat se
thaki thaki si zara deir lawn mein ruk ker
safaid aur ghulabi muswande ke paudon mein ghulne lagti hai
ke jaise barf ka tukra pighalta jaye whisky mein

main scarf din ka gale se utaar deta hoon
tere utaare hue din pehan ke ab bhi main
teri mehak mein kai roz kaat deta hoon

Tere utaare hue din
tange hain lawn mein ab tak

1 comment:

  1. har ek naqsh aarzuu kaa ho gayaa dhundhalaa
    har ek zakhm mere dil kaa bhar gayaa yaaro
    ajjib shaks thaa udaas hokar bhi yuun hanss sa diya
    'aansu' - sirf ek ashq na raha,
    maiieeiney badal gaya woh yaaro

    ReplyDelete