Tumhare khat ka aana
Jaise
bhigna rimjhim barsaat mein,
bikhar jaana khushboo ka
har taraf,
tumhein mahsoos karna
apne saath
yaad karna tumhari baatein.
Tumhare khat ka aana
jaise
bhar jaana kisi shoonya ka,
bikhar jaana saari chintaaon ka
jaagana der tak
aur likhna bahut si batein tumhein.
Tumhare khat ka aana
Jaise
phir se mahakna
sukhe phoolon ka
-Unknown